Aapka poora menu, ek link mein.
menu.easykot.com/
Dashboard mein ek switch on kare, aur menu.easykot.com pe aapke restaurant ka menu live: sections, dishes, Half/Full price, search, Veg aur Non-veg filter. Price wahi jo bill pe aata hai; Menu & stock mein kuch badla toh link pe ek minute ke andar dikh jaata hai. Link WhatsApp pe bheje, QR table pe lagaye, ya apni website mein daale.
Sirf menu, order ya payment nahi · trial aur paid dono stores · diner ko kuch install nahi karna
Chaar look. Ek tap mein badle.
Dashboard mein template chune, preview wahin badal jaata hai. Chaaron mein search, filter aur floating Menu button same hai; farak sirf style ka. Har look 6 colour mein: Chilli, Saffron, Leaf, Indigo, Plum, Ink.

Simple
Default. Delivery app jaisa: section khulte-band hote hain, naam ke neeche price.

Rate card
Bade menu ke liye, jahan Quarter, Half aur Full column mein chahiye.

Café
Café aur quick-service ke liye: bestsellers pehle, cards pe description.

Classic
Family aur fine-dining ke liye, printed menu card wali feel.
Price billing wala, update apne aap.
- Price wahi jo bill pe aata hai. Link Menu & stock se banta hai: Half/Full price, options, add-on, sab wahi jo Desktop App pe hai. Alag se menu type karne ka kaam khatam.
- Ek minute ke andar update. Dashboard mein price ya section ka order badle, ya dashboard ya Desktop App se dish off kare; link pe kuch publish nahi karna. Page 60 second tak cache hota hai, bas itna.
- Stock-out dikhta hai, gayab nahi hota. Menu & stock mein dish off ki toh link pe “Not available today” aata hai. Wapas on kari, waise hi wapas.
- Search, Menu button, filter. Diner naam se search karta hai aur floating Menu button se “Jump to” list khol ke section pe kood jaata hai. Veg / Non-veg filter tab aata hai jab har dish pe mark laga ho. Menu & stock mein jo dish pin ki, link pe woh bestseller dikhti hai, aur “Bestseller” filter aata hai.
- Charge lines chhup jaati hain. Parcel charge, packing jaisi bill-only lines link pe by default nahi dikhti. “Hidden lines” mein koi bhi section ya dish aap khud bhi hide kar sakte ho.


Teen step, koi install nahi.
- 01
Switch on kare
Dashboard mein “Online menu” khole aur “Menu link is on” kare. Link restaurant ke naam se ban jaata hai; “Link address” mein badal bhi sakte ho. Switch on karne se pehle “Menu check” list batati hai kitni dishes pe mark nahi, kitni bina section ke, kitni ₹0 dikhengi.
- 02
Look chune
Simple, Rate card, Café ya Classic, aur ek colour. Preview usi page pe asli menu ke saath dikhta hai, switch on karne se pehle bhi.
- 03
Share kare
Link copy kare, “Download QR” se QR nikaale, ya website ke liye “Button link” aur “Menu inside your page” snippet copy kare.
Link, QR, ya apni website pe.
- LinkWhatsApp, Instagram, Google profile
- menu.easykot.com/aapka-restaurant. WhatsApp status pe, Instagram bio mein, Google Business profile pe, jahan customer poochta hai "menu bhejo".
- QRTable tent se delivery packet tak
- "Download QR" se PNG milta hai. Table pe, counter pe, menu board pe, parcel ke packet pe. Scan karte hi full menu khulta hai, koi app nahi.
- WebsiteButton ya poora menu, copy-paste
- "Button link" ek "View our menu" button hai. "Menu inside your page" poora live menu aapke page ke andar dikhata hai, neeche "Open the full menu" link ke saath. Developer ko bhej do, koi plugin nahi chahiye.
Seedhe jawaab.
Diner link se order ya payment kar sakta hai?
Dish ke photos daal sakte hain?
Online menu ka alag charge hai?
Link ka naam badal sakte hain?
Veg / Non-veg filter kyun nahi dikh raha?
Parcel charge ya packing jaisi lines menu pe aayengi?
Apni website pe lagane ke liye developer chahiye?
Google pe menu aayega?
Restaurant ka internet band ho toh link band?
Menu pehle set karna hai? PDF ya photo se menu import, phir link on kare. Poora setup: signup se pehle bill tak.
3 mahine try kare, phir plan chune.
Restaurant ka kaam hum samajhte hain, kyunki shuruaat bhi wahin se hui. 3 mahine free try kare, bina card details. Hamari kahani padhe.
